Search This Blog

Wednesday, October 5, 2022

Kya karna?

Kitni ajeeb si baat hai keh aise likhna itna ajeeb kyun lag raha hai, baqaida effort lagana pad raha hai english main wapas switch nahi hona. Baar baar delete karke likhna kyunki apko aadat hai likhne ke english main. Ek aur yeh example hai aise trick ka jo apka dimagh khelta hai khudpe. Aisi baat toh nahi hai k main khwab english main dekhta hoon jaisa k log kehte hain; ki jiss zubaan main aap sabse zyada comfortable hote hain ussi main khwab dekhte hain.

Shukar waise yeh bhi hai k mujhe khwab itne yaad rehte bhi nahi hain. Bakwasiyat aur uljhan se larez hote hain khwab, aur mere pass na toh koi roohani taaqat hain jo main sochoon k mere khwab badi ilhaami hoge, jo bhi chand khwab yaad bhi reh jaate hain toh woh aise hi lagta hai keh bass paanch-chay alag alag purani yaadon ya jagahon se jaldbaazi main judi hui koi kahani dimagh ne banane ki koshish kari hai taaki neend khul na jaaye. Ya toh phir aise khwab aate hain k aisa lag raha ho keh dimagh baqaida plot aur story likh raha ho. Manhoos aur lucid, equal proportion main!

Halaanki neend bhi apne aap main ek ajeeb-o-ghareeb cheez hai, uljhan main aati nahi hai, jabki uljhan main hi sabse zyada usski zaroorat hoti hai; aur jab aap sukoon main hote ho to foran aajati hai. Aisa hona chahiye ki ghabrahat mai zyada aaye aur sukoon main kam. Ladakpan main zyada aati hai - jab aap chahte ho duniya hi har cheez karna aur budhaape main kam, jab aap chahoge keh kuch na karen bass sote rahen, magar foran 4 baje uth jao, bass yehi bacha hai ab dekhna shayad :))

Waise ghoom phir keh baat yeh aajati hai, zyada sochna aur gehrai main kisi bhi cheez ki jana, bhalay hi woh soch khud ki soch k baare main hi kyun na ho, kabhi bhi faayedemand nahi hoti, balki aur nuqsaan hi pohnchaati hai. Zyada sahi yehi hai surface phenomena bane raho, cheezen khareedo, bhaaloo waaley tshirt RL ka ya saamnp ki khaal k jootey aur khush raho umda hal filhal k liye.

Zindagi bhar ki khushi waise bhi kkis havannaq ne kaha tha k milegi zindagi main? Itmenaan bhi ek vehem hi hai, insaan agar zyada vaqfay k liye sukoon se hota hai toh khud maslay bana leta hai, ussne mujhe aisa kaha, waisa nahi kaha, wahan main nahi ja paaya (FOMO) LOL , ya fir kyun gaya? aise kuch fuzool maslay aur ya toh phir oopar se maslay utaar diye jaate hain toh log kehte hain yar pehle kitna sahi thi meri zindagi, magar maine khud paida kar diye the masaail apne zindagi main.

Ghoom phir k baat yeh ajati hai k har peedhi apni pehle k logo ko dekhti hai, unki ghaltiyan samajhti hai, unko judge karti hai, aur phir nayi tareekhay se apni zindagi main pareshani aur bherahat laane main jutt jaati hai. Jo log khush hain, jaise k woh shair hai, Keh kya takafful karen hum yeh kehne main keh jo bhi khush hain hum unse jalte hain. Hum to waqai mai jalte hain, kyun hain woh log itne khush? Humain bhi khush qismat kardo ya bewakhoof bana do, dono hi kardo ya doosra toh kar hi do! :)






No comments: